Shayad main kuch bhool gaya tha.......my creation :)
Shayad main kuch bhool gaya tha.
Wo gao jaha tha mera buchpan beeta wo makan jaha tha maine jeena seekha, khali aur veeran khada kuch pooch raha tha
Shayad main kuch bhool gaya tha.
Aaj mujhe bheegne ki ijazat nahi, ab mujhe yu bhagne ki bhi aadat nahi, shayad main hi tha wo jo tab barish me daud daud ke bheeg raha tha.
Shayad main kuch bhool raha tha.
Ab raato ko neend badi mushkit se hai aati, pankha AC ki shuhani hawa bhi nahi suhati, shyad meri chat(tarriace) mera aangan hee acha tha. Aur shayad yu hoga ki tab main chota bacha tha. Maa ki lori aur pyar me jhool raha tha. Shayad main kuch bhool raha tha.
Wo kya tha jiske liye main aaya tha, wo kya tha jisne mujhe tarsaya tha, wo kya tha jise jeene ka sabab banaya tha, wo kya tha jiske liya paseena bahaya tha.
Dhun daulat naukar chakar gaadi bangla to hai sabkw paas yaha. To fir inme aaisa kya khas hai samaya. Shaayad kuch hai jo na inke paas hai na mere paas hai, kuch lamhe ka sukoon hai wo jiski mujhe talash hai.
Kya yahi hai wo jise main is banavati shahar me doond raha tha, shayad yahi tha wo jise main bhool raha tha. Ab wapas jana hoga har baarish me nahana hoga, apni dharti per paseena bahana hoga, is baat ko jatana hoga ki shahar nahi acha kisi bhi mayne me asli maza to hai apne ghar aur apne gaon me jeene me.